Eid Ul Azha ki fazeelat aur Masail ka Hal
Islam mai jese jese shaban , ramzan, eid ul fitr hai wese hi ek mahina Eid Ul Azha bhi hai. Jo ke Hazrat Ibrahim aur Hazrat Ismail A.S ki yaad mai manai jati hain.
Zilhaj ke mahine ki fazeelat aur ahkam:
Aanhazrat Peace Be Upon Him ne farmaya: Allah Ta’ala ki ibadat ke liye ashra zil haj se behter koi zamana nahi. In mai ek din ka roza ek saal ke rozon ke barabar aur ek raat ki ibadat shab e qadr ki ibadat ke barabar hai. (Trimedhi , Ibn e Maja)
Quran Majeed mai Soorah “Wal Fajr” mai Allah Ta’ala ne 10 raaton ki qasam khai hai aur wo das raaten jamhoor ke qol ke mutabiq yahi ashra zil haj ki raaten hain.Khususan nawi 9 zil haj ka roza rakhna ek saal guzishta aur ek saal ainda ke gunahon ka kuffara hai aur Eid ki raat mai bedar reh kar ibadat mai mashghool rehna bari fazeelat aur sawab ka mojib hai.
Takbeer Tashreef:
Allahu Akbar Allahu Akbar La Ilaha Illallahu Wallahu Akbar Allahhu Akbar Walillahil Hamd
9 tareekh ki subah se 13 tareekh ki asar tak har namaz ke baad ba awaz buland ek martaba mazkoora takbeer kehna wajib hai. Fatwa is par hai ke ba jamat aur tanha namaz parhne wale is mai barabar hain. Is tarha mard o aurat dono par wajib hai, albatta aurat baa awaz buland takbeer na kahe aahista se kahe. (Shami)
Next Article: Qurbani ka gosht khane ke liye urdu tips