Easy Tutti Frutti Recipe in Urdu

Urdutotke provides you easy homemade tutti frutti recipe in Urdu and Roman Hindi.

easy tutti frutti recipe in urdu
tutti frutti recipe
tutti frutti sweets
papaya tutti frutti.

Ingredients:

  1. Kacha papita  –  250 grm
  2. Cheeni  –  150 grm
  3. Mukhtalif qisim ke colour  –  hasb-e-zarurat
  4. Pani  –  250 ml
  5. Vanila essence  –  few drops

Method:

Kache papite ko cheel kar us ke beej nikaal len aur achi tarah dho kar kache papite ko chote chote cubes ki shakal men chop kar len.1 patili men pani daal kar ubaal len.pani men ubaal aane ke baad is men kate hue papite ko daal kar 3 se 4 mint tak pakaeyn.jab ye adha gal jaey to ise thanda kar ke chaan len.

Ab ek pan men cheeni aur 3 se 4 chammach pani daal kar sheera bana len.ab is men papite ko daal kar itna pakaen ke papita bilkul gal jaey.ab choolha band kar ke room tempreture par thanda kar len.aur thanda hone ke baad is men 3 drops vanila essence bhi shamil kar den.

Ab aapko jo bhi colour add karna he wo alag alag pyaliyon men milaeyn aur 10 se 12 ghante ke liye chorh den.jab wo achi tarah absorbe ho jaey to tissue paper par rakh kar mazeed 4 ghante ke liye chorh den.ab aapki tutti frutti tayyar he.

Leave a Comment