dua ki qabooliyat ka waqt in urdu

dua ki qabooliyat ka waqt in urdu

                                                          dua ki qabooliyat ka waqt
                                                         dua ki qabooliyat ka tarika
                                                                dua ki qabooliyat
                                                                qabooliyat ki dua.

jin waqton men dua qabool hoti hen wo ye hen;

1;  shab-e-qadar mah-e-ramzan ke akhri ashre ki 5 taaq raaton men dua ki qabooliyat ka sab se zyada guman hota he.

2;  arfa ka poora din.ramzan-ul-mubarak ka poora mahina.

3;  jumme ki raat.jumme ka poora din.

4;  rozana raat ka doosra adha hissa.rozana raat ka pehla tahai hissa.rozana seher ke waqt.

5;  sab se zyada dua qabool hone ki umeed jumme ke waqt ki he.

6;  baaz ulma kehte hen jumme ke din asar se le kar maghrib tak ka waqt he.

7;  baaz ulma kehte hen dua ki qabooliyat subha saadiq nikalne se sooraj tulu hone tak ki hoti he.

8;  toba karne wale ki dua raat ya din ki har gharhi qabool ki jati he.

9;  bimari ke waqt ki dua qabool hoti he.

10;  sajde ki halat men dua qabool hoti he.

11;  safar ke doran ki dua qabool hoti he.

12;  azan ka jawab dene ke baad mangi gai dua qabool hoti he.

13;  KHANA-E-KAABA par jab pehli nazar parhe to jo bhi dua mangi jaey wo lazmi qabool hoti he.

14;  HAJ aur UMRAH ki dua lazmi qabool hoti he.

15;  har amal ka daar-o-madar niyat par he agar aap sachi niyat aur khulus-e-dil se kisi bhi waqt dua mangte hen to wo dua qabool ho jati he.

Share
Published by
Urdu Totke

Recent Posts

Best Heart Touching Quotes in Urdu

Heart-touching quotes have the power to evoke deep emotions and feelings within us. They can…

3 months ago

Areesha Name Meaning in Urdu

Looking for the meaning of the name Areesha? You've come to the right place! In…

7 months ago

Shazia Name Meaning in Urdu

Looking for the meaning of the name Shazia? You've come to the right place! In…

7 months ago