ALLAH TA’ALA ne musalmanon ke liye boht si cheezon men barkat rakhi he.BISMILLAH SHAREEF ki aayat bhi inhi men se 1 he.kisi bhi kaam ke shuru men BISMILLAH SHAREEF parhne se ALLAH TA’ALA ki ghebi madad hasil hoti he. BISMILLAH SHAREEF ki is choti si aayat men is qadar taaqat-o-quwat he ke koi insaan soch bhi nahi sakta.jo shakhs kashti men sawar hote waqt ye BISMILLAH SHAREEF parh le to jab tak wo kashti men sawar rahe ga us shakhs ke waste nekiyan likhi jaen gi.jo shakhs kisi jaanwar par sawar hote waqt BISMILLAH SHAREEF parh le wo janwar jitne qadam chale ga us ke har qadam par sawar ke liye nekiyan likhi jaen gi.jo shakhs apni bivi ke paas jate waqt ye aayat BISMILLAH SHAREEF parh le to is men shetan shareek na hoga aur agar is sohbat se hamal ho jaey to is hamal ka bacha to is hamal ka bacha apni zindagi men jis qadar bhi saans le ga us qadar uske baap ke aimal men nekiyan likhin jaen gi.jo bemaar BISMILLAH SHAREEF parh kar dawa piye ga ya khaey ga INSHAH ALLAH use faida hoga.BISMILLAH SHAREEF ki fazilat-o-barkat-o-faide aur ahemiyat ke baare men likhne ke liye mere paas lafz nahi hen.men sari zindagi bhi BISMILLAH SHAREEF ki taareef likhon to kam he.bas aap sab bhi BISMILLAH SHAREEF ko apni aadat bana lijye.shukriya.