motabar rewayat se ye maloom hota he ke jis tarah jamadat,hewanat,nabatat ke andar ek samet hoti he wese hi baaz ashkhas ki ankhon men zeher hota he.jab wo kisi achi cheez ko herat ya ta’ajub ki nigah se dekhte hen to wo kharab aur barbad ho jati he.isko zakhm-e-chashm ya nazr-e-bad kehte hen.is nazr-e-bad ko dafa karne ke liye ye surat SURAH SUAAD akseer ka hukum rakhti he.SURAH SUAAD ko 7 dafa parh kar phookna chahye ya pani par dam kar ke pilaen ya is naqsh ko likh kar bache ke gale men bandhen ya ghol kar pilaen.nazr-e-bad aur degar balyaat se mehfooz rahe ga.