SURAH NABA men ALLAH TA’ALA ne qayamat aur akhrat ki khabar di hen.is liye is surat ko SURAH NABA kaha jata he.
HUZOOR PAAK S.A.W.W KA IRSHAAD HE KE,
jis ne SURAH NABA parhi qayamat ke din ALLAH TA’ALA isko sharab-e-tahoor pilaey ga.zuhar ke baad iski tilawat se basarat men izafa hota he.jo shakhs baad-e-asar isko parhta rahe to INSHAH ALLAH TA’ALA iski basarat zail na hogi.
HUZOOR PAAK S.A.W.W ne jab logon ke saamne qayamat ka tazkara kiya to wo ghabra kar ek doosre se poochne lage ke ye kiya baat laeyn hen?
is par ye surat SURAH NABA nazil hui is surat men munkireen-e-qayamat par hujjat qaim ki gai he aur mot ke baad zindagi ko sabit kiya gaya he.jannat-o-jahannum ka tazkara he aur ALLAH TA’ALA ki azeem nematon ka bayan he.