Bad Breath Treatment At Home In Urdu

Urdutotke provides you the best home remedy for bad breath in Urdu and Roman Hindi.

bad breath treatment at home in urdu

Koi bimari ya koi masla bhi kisi se kam nahi hota bad breath ka masla bhi kuch isi tarah ka he.

 

BAD BREATH KI PEHLI BARHI WAJAH:

Bad breath ki wajah se kisi se baat karna mushkil ho jata he.Kisi mehfil men jao to koi aap se baat karna pasand nahi karta sab log katne aur door door rehne lagte hen.aur is tarah se insaan ehsaas-e-kamtari ka shikaar hone lagta he.

 

BAD BREATH KI DOSRI BARHI WAJAH:

Bad breath ki barhi wajah mede ki kharabi bhi hoti he aur qabz ka hona.mede ka masla ho ya nizam-e-inhezaam ki kharabi.aur doosri wajah moo ki safai ka khayal na rakhna.beher haal aapko ham asan totke batate hen.

 

BAD BREATH KO REMOVE KARNE KA GHARELU ILAJ:

1-  Raat ko sone se pehle moo ko lazmi saaf karen aur 1 inch ka adrak ka tukrha 1 mint tak chaba liya karen aur koshish karen ke us ke baad pani na piyen.subha aap khud dekhen ge ke aapke moo men koi badboo nahi hogi.aur isi amal ko agar aap har khane ke baad karen ge to sara din bad breath ki shikayat nahi hogi.aur aapka nizam-e-inhezaam bhi behtar hoga.INSHAH ALLAH TA’ALA.aur ye amal sugar ke marizon ke liye behad mufeed he aur zaruri bhi.

2-  limo ka taza arq 1/4 cup,arq-e-gulab 1/2 cup.dono cheezon ko mila kar subha shaam is se kuliyan karen.is amal se na sirf bad breath khatam hogi balke khushboo aane lagti he.masoorhon ke zakham bhi khatam ho jate hen.moo ke tamam gande maade nikal jate hen.daant saaf aur chamakdaar ho jate hen.

3-  Emergency men bad breath khatam karne ke liye moo men choti elaichi chaba liya karen.

 

Note: Qabz ko door karne ke liye rozana raat ko sone se pehle agar sardiyan hen to ek glass neem garam doodh men 1 tab sp asli shehed mila kar pi liya karen aur agar garmi he to ek glass neem garam pani men 1 tab asli shehed mila kar pi liya karen.INSHAH ALLAH TA’ALA aapka qabz ka masla bhi khatam ho jaey ga jis ki wajah se boht si bimariyan peda hoti hen.

 

Leave a Comment