asan nihari recipe in urdu
nihari recipe
beef nihari recipe
mutton nihari recipe pakistani
recipe for nihari
pakistani nihari recipe.
ingredients,
meat = 1/2 kg(beef ya mutton)
oil = 1 cup
nihari masala = 1 sasha
adrak lehsan = 2 tab sp(pisi hui)
pyaz = 1 cup (chop ki hui)
namak = hasb-e-zarurat
garam masala = 1/2 tea sp
ata = 1 tab sp
method,
1/2 cup pyaz ko 1/2 cup oil men brown kar ke is men gosht aur adrak lehsan daal kar bhoone sath hi is men 1/2 nihari masala bhi shamil kar len aur 2 cup pani daal kar gosht galne ke liye halki aanch par pakaen.jab gosht adha gal jaey to is men garam masala shamil kar len.aur jab poora gal jaey to is men ate ko 1/2 cup pani men ghol nihari men ahista ahista daalen aur chamcha chalati rahen.is doran aanch halki rakhen aur 5 mint pakne den.akhir men baqi ka 1/2 cup tel men 1/2 cup pyaz ko brown kar ke is men 1/2 nihari masala daal den aur is baghar ko nihari men daal den.opar se kati hui hari mirchen shamil karen.garma garam naan ke sath khaen.
Related