Aab-e-Zam Zam ki Fazilat in Urdu

Urdutotke provides you benefits of zam zam water in Urdu and Roman Hindi.

aab-e-zam zam ki fazilat in urdu

HAZRAT AYSHA R.A FARMATIN HEN KE MENE NABI-E-KAREEM S.A.W.W SE SUNA HE KE (ZAMEEN PAR DUNYA KA BEHETREEN PANI ZAM ZAM HE JO GHIZA BHI HE AUR BIMARIYON KE LIYE SHIFA BHI.PAS JISE GHIZA KI ZARURAT HE ZAM ZAM US KE LIYE GHIZA HE AUR JISE SHIFA MATLOOB HE ZAM ZAM US KE LIYE SHIFA HE).

EK AUR MAQAM PAR AAP S.A.W.W FARMATE HEN (ZAM ZAM TO WO HE KE JIS NE JIS MAQSAD KE TEHET PIYA WO POORA HUA KOI BIMARI SE NIJAAT KE LIYE PITA HE NIJAT PAEY GA KOI PAIT BHARNE KE LIYE PITA HE PAIT BHAR JAEY GA AUR AGAR KOI PIYAS BUJHANE KE LIYE PITA HE TO ALLAH PAAK USKI PIYAS BUJHA DEGA).

AAB-E-ZAM ZAM PINE KI DUA:

Aab-e-Zam Zam ki Fazilat in Urdu 1

AAB-E-ZAM ZAM jesa pani dunya bhar men nahi he.AAB-E-ZAM ZAM apni noiyat ka munfarid pani he.AAB-E-ZAM ZAM men be inteha khususiyaat mojood hen.AAB-E-ZAM ZAM ki khususiyaat men kabhi tabdili nahi ho sakti.AAB-E-ZAM ZAM ka ek qatra agar aam pani ke 1000 qatre men milaya jaey to us pani men bhi AAB-E-ZAM ZAM wali khususiyaat ajati hen.AAB-E-ZAM ZAM arshi pani he ye pani qayamat tak khatam nahi hoga.

Leave a Comment